Tumhare paanv ke neeche koi zameen nahi
kamaal ye hai ki fir bhi tumhe yakeen nahi
main bepanaah andheron ko subah kaise kahuun
main in nazaaron ka andhaa tamaashbeen nahi
teri zubaan hai jhoothi jamhooriyat kee tarah
tuu ek zaleel see gaali se behatreen nahi
tumhi se pyaar jataayen tumhi ko khaa jaayen
adeeb yon to siyaasi hain par kameen nahi
tujhe qasam hai khudi ko bahut halaaq na kar
tuu is machine ka purjaa hai tuu machine nahi
bahut mashhoor hai aayen jaroor aap yahaan
ye mulk dekhne laayak to hai haseen nahi
zaraa sa taur-tareekon mein her-fer karo
tumhaare haath mein collar ho aasteen nahi
– A Ghazal by Dushyant Kumar