Na tha kuch tou Khuda tha, kuch na hota tou Khuda hota…
Daboya mujh ko honay nay, na hota may tou kya hota…
Hua jb gham say yun bay-his, tou gham kya sar k ktny ka…
Na hota gr juda tan say, tou zaanon pr dhara hota…
Hui muddat k Ghalib mr gya pr yaad ata hai…
Wo hr ik baat pay kehna k yun hota tou kya hota ❤️❤️❤️❤️